visitor flag's

Tuesday, 25 September 2012

Naseer ud-din Muhammad Himayoun


 نصیرالدین محمد ہمایوں













Hamyoun ko ilm-o-adab say kafilagao tha ..is baat ka andaza is baat say lagaya ja sakta hai kay " medan-i-jang main bhi us kay hamrakaab aik Library moujood hoti jis main Arabic, farsi, or Turki kutab ka nadir khazana moujood rehta" ....Ilm-i-Najoom or ilm-i-Reyazi main wo apna saani nahi rekhta tha ,,,

unhay buhat si zabanoun par mukamal dastras hasil the ..in main Arabic, farsi or Turki shamil hain ..is tarha babar ki hind ki muhemaat kay dooran us nay Hindi zaban par bhi aboor hasil kia ..



Himayoun fun-i-siphagarri main bhi numayan maqaam rekhta tha..wo aik acha or qabil hukmraan tha ...us nay apni is khoobi ka muzahira Badkshan ki hukmarani kay dooran kia us waqat us ki omer 12 saal the .....

Himayoun nay apnay baap ki waseeyat par amal kartay hovey har moukay pay apnay baheoun ki khoob imdad ki ...or un kay sath husn-i-salooks ay peash aya ...yehantak kay us nay apni saltnat kay hissay apnay baheoun main baant deye ..bawajood is kay husn-i-salook kay us kay baheoun nay us kay sath bora salook rawa rakha ..or humesha us kay leye mushkilaat peda keian ...




Hamoyn deleer badshah they ..jangoo sipahi they ...buhat khaleeq or malansaar insaan thay ..Hamoyn Irani fanoon-i-lateefa ko Hindustaan main mutaraf karanay wala hai ...


Himayoun ki khamiyan

Himayoun kay kirdaar main khoobeoo kay elwa kuch khamiyan bhi thein ...
ghair mustaqil mizaaji ki waja say humesha nakami ka moun deekhna para , qowat-i-fasila main kami , nazm-o-zabt main kami, aish parasti, dushman ko sanbhlnay ka mouqa faraham karna, kaam ko adhoora choor deena, seyasi baseerat ka fuqdaan,dushman ko maaf kar deena, quwat-i-iradiki kami..





0 comments:

Post a Comment